apne zauq-e-dīd ko ab kārgar paatā huuñ maiñ
un kā jalva har taraf pesh-e-nazar paatā huuñ maiñ
vo bhī din the jab mire dil ko thī terī justujū
ye bhī din hai dil ko ab terā hī ghar paatā huuñ maiñ
har qadam hai justujū kī raah meñ dushvār-tar
har qadam par gum-rahī ko rāhbar paatā huuñ maiñ
aa gayā hai ishq meñ kaisā ye hairat kā maqām
jis taraf jaatā huuñ un ko jalva-gar paatā huuñ maiñ
ab kahāñ merī nazar meñ dahr kī rañgīniyāñ
ab to apne aap hī ko ḳhud-nigar paatā huuñ maiñ
maut se hotī hai 'shaidā' zindagī kī parvarish
har nafas meñ ye haqīqat mushtahar paatā huuñ maiñ