Adeeb Khalwat

kis ki KHalwat se nikhar kar subh-dam aati hai dhup

Adeeb Khalwat

kis kī ḳhalvat se nikhar kar sub.h-dam aatī hai dhuup
kaun vo ḳhush-baḳht hai jis kī mulāqātī hai dhuup
dīdanī hotā hai do rañgoñ kā is dam imtizāj
būñdiyoñ ke ham-jilau ham-raqs jab aatī hai dhuup
tum to pyāre chaḌhte sūraj ke parastāroñ meñ the
kyuuñ ho shikva-sanj agar tan ko jalā jaatī hai dhuup
ḳhushbū-e-mahbūs ko āzād karne ke liye
laakh ho sañgīñ hisār-e-kohar dar aatī hai dhuup
is galī meñ jaise us kā dāḳhila mamnūa ho
yuuñ dabe paañv yahāñ aa kar guzar jaatī hai dhuup
rāt-bhar pahlū meñ rahtā hai munavvar āftāb
din se baḌh kar apnī garmī shab ko dikhlātī hai dhuup
dil ḳhushī se jhūmtā hai jab sar-e-dīvār-e-yār
nīm-vā dar se guzar kar sard ban jaatī hai dhuup
raat pahlū meñ achānak us kā chehra dekh kar
dil meñ ye aayā tasavvur kitnī lamhātī hai dhuup
barq ke dam se thī kal jis ḳhvāb-gah meñ mauj-e-nūr
ab vahāñ bhī tarz-e-nau se jalva dikhlātī hai dhuup
ai 'suhail' is meñ nihāñ hai us kī mahbūbī kā raaz
tab-e-mausam dekh kar fauran badal jaatī hai dhuup
Top Urdushayar.com