Ghazanfar Ali Ghazanfar

baiThe hain id ko sab yar baghal mein le kar

Ghazanfar Ali Ghazanfar

baiThe haiñ iid ko sab yaar baġhal meñ le kar
baiTheñ ham kyā dil-e-bīmār baġhal meñ le kar
kushta-e-nāz faqat is pe haiñ nāzāñ jī meñ
ki nikaltā hai vo talvār baġhal meñ le kar
ro.e ham us kī tamannā-e-ham-goshī meñ
dil-e-māyūs ko nā-chār baġhal meñ le kar
bad-gumānī se hameñ baiThte uThte hai ye soch
baiThe hoñge use aġhyār baġhal meñ le kar
mai-e-ulfat kī tarañg aa.ī to aayā dauḌā
shīsha-e-mai ko vo mai-ḳhvār baġhal meñ le kar
kū-ba-kū ḳhāna-nashīnī kā ho us kī charchā
baiThe jo tujh sā trahdār baġhal meñ le kar
shab-e-tanhā.ī meñ so rahte haiñ mushtāq tire
ba-tasavvur tujhe har baar baġhal meñ le kar
sun ke ham mahv-e-chaman us ko 'ġhazanfar' aa.e
dil-e-pur-dāġh se gulzār baġhal meñ le kar
Top Urdushayar.com