Ghazanfar Ali Ghazanfar

jate hain wahan se gar kahin hum

Ghazanfar Ali Ghazanfar

jaate haiñ vahāñ se gar kahīñ ham
hir-phir ke phir aate haiñ vahīñ ham
sad-haif ki kunj-e-be-kasī meñ
koī nahīñ aur haiñ hamīñ ham
ḳhāmoshī kī mohr hai dahan par
haiñ halqa-e-ġham meñ juuñ nagīñ ham
aayā na vo shoḳh aur ga.e aah
hasrat hī bhare tah-e-zamīñ ham
takte rahe jānib-e-dar ai vaa.e
mar mar ke ba-vaqt-e-vapsīñ ham
kyā kyā khīñche haiñ aap ko duur
Tuk baiThe jo yaar ke qarīñ ham
dekh ā.īna ham se pūchhe the yuuñ
sach kahiyo ki kaise haiñ hasīñ ham
qismat meñ to hijr hai 'ġhazanfar'
ab vo hai to aap meñ nahīñ ham
Top Urdushayar.com