muhīt-e-husn jo ab dam-ba-dam chaḌhāv pe hai
chalā hai ghar se akaḌtā baḌe hī taav pe hai
mujhe batā de tū rahtā hai kaun se ghar meñ
ki jis ke koThe se koThā tirā lagāv pe hai
uThā ke aañkh kise dekhne kī taab hai aah
nashist-e-yār agarche baḌe dikhāv pe hai
ham us kī bazm kī hasrat meñ haath malte haiñ
ye juuñ juuñ sunte haiñ majlis baḌe jamāv pe hai
na pūchho bahr-e-mohabbat meñ kuchh hamārā haal
jo kuchh hai āfat-e-dariyā so apnī naav pe hai
'ġhazanfar' us se tū kar liijo arz-e-hāl apnā
abhī na bol ki ġhusse meñ hai vo taav pe hai