terī samt jaane ke rāstoñ meñ zinda huuñ
phuul ho chukā huuñ aur ḳhushbuoñ meñ zinda huuñ
kaun hai jo har lamha sūrateñ badaltā hai
maiñ kise samajhne ke marhaloñ meñ zinda huuñ
band sīpiyoñ meñ huuñ muntazir huuñ bārish kā
maiñ tumhārī āñkhoñ ke pāniyoñ meñ zinda huuñ
tū firāq kī saa.at nā-tamām qurbat meñ
maiñ visāl kā lamha dūriyoñ meñ zinda huuñ
ab to ye dilāsā hī āḳhirī vasīla hai
maiñ tire ḳhayāloñ kī vādiyoñ meñ zinda huuñ
vaqt soch tanhā.ī karb vahshateñ idrāk
merā hausla aise qātiloñ meñ zinda huuñ
apnī munfarid yaktā be-kanār hastī kā
ik hisār hai jis kī vus.atoñ meñ zinda huuñ