Najmus Saqib

shab ko aankhon mein Thaharte koi kab tak dekhe

Najmus Saqib

1960
shab ko āñkhoñ meñ Thaharte koī kab tak dekhe
bādbāñ ḳhvāb kā khilte koī kab tak dekhe
apne hī saa.e se bāteñ kare kab tak koī
itne chup chaap darīche koī kab tak dekhe
vahī āvāz jo patthar meñ badal de mujh ko
muḌ ke is tarah se pīchhe koī kab tak dekhe
itnī yādoñ meñ koī yaad sukūñ de na sakī
is samundar meñ jazīre koī kab tak dekhe
ḳhair tum sā to kahāñ mujh sā nahīñ hai koī
har taraf ek se chehre koī kab tak dekhe
dukh-bharā shahr kā manzar kabhī tabdīl bhī ho
dard ko had se guzarte koī kab tak dekhe
manzileñ ham ko milīñ haiñ na mileñgī lekin
dhuul hote hue raste koī kab tak dekhe
Top Urdushayar.com