koī hai jo ġham nahīñ jheltā kise har nafas meñ sukūn hai
tire chāra-gar ko ḳhabar nahīñ tire apne bas meñ sukūn hai
kisī maslahat ke ġhubār meñ kahāñ rāsta nazar aa.egā
use jā ke dekhiye dosto jise pesh-o-pas meñ sukūn hai
mire rāste baḌe narm-ḳhū vo shumāl ho ki junūb ho
mire qulzum-e-ġham-e-jāvedāñ tire niile ras meñ sukūn hai
use be-numū kisī ḳhvāb ne kahīñ gahrī niiñd sulā diyā
use bhā ga.ī haiñ kahāvateñ use bhī qafas meñ sukūn hai
kabhī hādsoñ se Darā nahīñ kabhī faisloñ se phirā nahīñ
mirī be-yaqīniyāñ be-ḳhabar mirī dastaras meñ sukūn hai