Najmus Saqib

kisi KHamoshi ka zahr jab ek mukalme ki tarah se chup tha

Najmus Saqib

1960
kisī ḳhamoshī kā zahr jab ik mukālme kī tarah se chup thā
ye vāqi.a hai ki shahr-e-qātil bujhe diye kī tarah se chup thā
sahar ke āsār jab numāyāñ hue to bīnā.ī chhin chukī thī
qubūliyat kā vo ek lamha mujassame kī tarah se chup thā
kisī ta.alluq ke TūTne kā azaab donoñ ke dil par utrā
maiñ aks ban ke Thahar gayā thā vo ā.īne kī tarah se chup thā
paḌāv Daale kisī ne aa ke hazār kosoñ kī dūriyoñ meñ
hamārā dil ki kisī parinda ke ghoñsle kī tarah se chup thā
kahīñ se us ko bhī merī chāhat kī kuchh dalīleñ milī thiiñ shāyad
vo ab ke aayā to guzrī shāmoñ ke ik samay kī tarah se chup thā
Top Urdushayar.com