Najmus Saqib

badan ko jaan se juda ho ke zinda rahna hai

Najmus Saqib

1960
badan ko jaañ se judā ho ke zinda rahnā hai
ye faisla hai fanā ho ke zinda rahnā hai
yahī nahīñ ki mire gird khīñchnī haiñ hadeñ
mire ḳhudā ne ḳhudā ho ke zinda rahnā hai
hazāroñ log the tauq-e-anā sajā.e hue
faqat mujhe hī rihā ho ke zinda rahnā hai
mujhe to ḳhair shab-e-hijr maar Dālegī
tumheñ to mujh se judā ho ke zinda rahnā hai
durust hai ki judā.ī meñ maut aa jaa.e
magar ye kyā ki ḳhafā ho ke zinda rahnā hai
kisī ko maut na aa.ī kisī ke marne par
sabhī ne dukh se sivā ho ke zinda rahnā hai
Top Urdushayar.com