Najmus Saqib

wahi mohtaram rahe shahr mein jo tafawuton mein lage rahe

Najmus Saqib

1960

vahī mohtaram rahe shahr meñ jo tafāvutoñ meñ lage rahe

jinheñ pās-e-izzat-e-harf thā vo riyāzatoñ meñ lage rahe

unheñ tum darāzi-e-umar nahīñ, hausle duā.eñ do

vo jo ek nisbat-e-be-amāñ hifāzatoñ meñ lage rahe

mire haath meñ tire naam vo lakīr miTtī chalī ga.ī

mire chāra-gar mire dard vazāhatoñ meñ lage rahe

unheñ be-yaqīnī-e-sub.h maiñ dalīl duuñ bhī to kis tarah

vo jo ibtidā meñ intihā zamānatoñ meñ lage rahe

tirī hairateñ tirī aañkh meñ tamām umr paḌī rahīñ

tirī shā.erī ke sabhī hunar to shikāyatoñ meñ lage rahe

Top Urdushayar.com