Najmus Saqib

yaqin ke baad ye dekha ki phir guman TuTe

Najmus Saqib

1960
yaqīñ ke baad ye dekhā ki phir gumāñ TuuTe
vo āñdhiyāñ thiiñ ki saare hī sā.ebāñ TuuTe
fasīl-e-shahr kī Dālīñ jinhoñ ne buniyādeñ
vo haath dastakeñ dete hue yahāñ TuuTe
phir ek baar laḌā.ī thī apnī sūraj se
ham ā.īnoñ kī tarah phir yahāñ vahāñ TuuTe
hamāre mausam-e-dil ko nazar ye kis kī lagī
ye kin havāoñ meñ rishtoñ ke āshiyāñ TuuTe
na sirf ye ki gireñ un pe bijliyāñ sīdhī
talāsh-e-haq ke asīroñ pe āsmāñ TuuTe
Top Urdushayar.com