Anwari Jahan Begum Hijab

khinch kar talwar jab tark-e-sitamgar rah gaya

Anwari Jahan Begum Hijab

khīñch kar talvār jab tark-e-sitamgar rah gayā
haa.e re shauq-e-shahādat maiñ taḌap kar rah gayā
milte milte rah ga.ī aañkh us kī chashm-e-mast se
hote hote lab-ba-lab sāġhar se sāġhar rah gayā
aap hī se be-ḳhabar koī rahā va.ade kī shab
kyā ḳhabar kis kī baġhal meñ kab vo dilbar rah gayā
le liyā maiñ ne kināra shauq meñ yuuñ daf.atan
shoḳhiyāñ bhūlā vo ḳhalvat meñ jhijak kar rah gayā
tujh se qātil kah diyā thā dil kā ye armān hai
dekh le āḳhir mire siine meñ ḳhanjar rah gayā
muddatoñ se sīna-e-bismil hai jis qātil kā ghar
kyā huā dil meñ agar aaj us kā ḳhanjar rah gayā
chal diye hosh-o-ḳhirad to mai-kashoñ ke chal diye
rah gayā haañ mai-kade meñ daur-e-sāġhar rah gayā
saḳht ḳhajlat hogī dekh ai shauq-e-uryānī mujhe
aaj agar ik taar bhī baaqī badan par rah gayā
kaun kahtā hai makān-e-ġhair par tum kyuuñ rah ga.e
arz to ye hai ki raste meñ mirā ghar rah gayā
pārsā.ī shaiḳh-sāhab kī dharī rah jā.egī
dast-e-sāqī meñ agar dam-bhar bhī sāġhar rah gayā
jis ke aane kī ḳhushī meñ kal se vārafta the tum
aaj bhī aate hī aate vo sitamgar rah gayā
Top Urdushayar.com