vo maqtal meñ agar khīñche hue talvār baiThe haiñ
to ham bhī jaan dene ke liye tayyār baiThe haiñ
dar-e-pīr-e-muġhāñ par is tarah mai-ḳhvār baiThe haiñ
ki kuchh maḳhmūr baiThe haiñ to kuchh sarshār baiThe haiñ
agar vo gāliyāñ dene par āmāda haiñ ḳhalvat meñ
to ham bhī arz-e-matlab ke liye tayyār baiThe haiñ
galā maiñ kaaT luuñ ḳhud ik ishāra ho jo abrū kā
vo kyuuñ mere liye khīñche hue talvār baiThe haiñ
sahārā jab diyā hai kuchh ummīd-e-vasl ne aa kar
to uTh kar bistar-e-ġham se tire bīmār baiThe haiñ
hijāb un se vo merā pūchhnā sar rakh ke qadmoñ par
sabab kyā hai jo yuuñ mujh se ḳhafā sarkār baiThe haiñ