Anwari Jahan Begum Hijab

kahan mumkin hai poshida gham-e-dil ka asar hona

Anwari Jahan Begum Hijab

kahāñ mumkin hai poshīda ġham-e-dil kā asar honā
laboñ kā ḳhushk ho jaanā bhī hai āñkhoñ kā tar honā
ġhazab mil kar judā mujh se tirā o fitna-gar honā
sitam nāloñ kā pur-tāsīr ho kar be-asar honā
jigar meñ dard lab par nāla-e-vahshat asar honā
ayaañ kartā hai ik rashk-e-parī kā dil meñ ghar honā
ġhazab nāla-kashī ik sahib-e-ismat ke kūche meñ
sitam ai dil kisī parda-nashīñ kā parda-dar honā
vo un kā chupke chupke muskurānā ḳhuun rone par
vo merā dil hī dil meñ vāsif-e-rañg-e-asar honā
jo tanhā paas manzil dil ko shāyāñ hai mohabbat meñ
to āñkhoñ ko hai lāzim dīda-e-hasrat-nagar honā
qayāmat thā sitam thā qahr thā ḳhalvat meñ o zālim
vo sharmā kar tirā merī baġhal meñ jalva-gar honā
sitam kī jaur kī bedād kī kaafī shahādat hai
judā.ī meñ mirā betāb be-ḳhud be-ḳhabar honā
Top Urdushayar.com