Anwari Jahan Begum Hijab

sare kushton se juda Dhang iztirab-e-dil ka hai

Anwari Jahan Begum Hijab

saare kushtoñ se judā Dhañg iztirāb-e-dil kā hai
kyuuñ na ho bismil bhī to kis chulbule qātil kā hai
chhup nahīñ saktā vo ḳhuun apne dil-e-bismil kā hai
miT nahīñ saktā jo dhabba dāman-e-qātil kā hai
imtihāñ madd-e-nazar kis manchale bismil kā hai
ma.arka aarā jo yuuñ har naaz us qātil kā hai
be-ijāzat uTh ke siina se lagā.e aap ko
hausla itnā bhī ik armān vaale dil kā hai
aap ko yaad aa ga.iiñ haiñ kis kī bazm-ārā.iyāñ
hazrat-e-dil kahiye to qasd aaj kis mahfil kā hai
us taraf machlā huā hai vasl meñ vo chulbulā
is taraf josh-e-iztirāb ārzū-e-dil kā hai
vasl kī shab ḳhuun karnā ārzū-e-vasl kā
o tamannāoñ ke dushman kaam ye qātil kā hai
mārka-ārā.īyāñ haiñ aaj husn-o-ishq kī
sāmnā is jalva-gah meñ dilrubā se dil kā hai
apne aadhī raat ko aane kā baa.is kyuuñ bane
vo kahīñ qaa.il bhī jazb-e-ulfat-e-kāmil kā hai
maut aa.ī hai mujhe o bahr-e-ḳhūbī vasl meñ
merā beḌā Dūbne vaalā lab-e-sāhil kā hai
siina se siina milā denā to kuchh mushkil nahīñ
yaar mushkil to tire dil se milānā dil kā hai
shoḳhī-e-qātil meñ hai bismil kā rañg-e-iztirāb
rañg bismil kī taḌap meñ shoḳhī-e-qātil kā hai
Top Urdushayar.com