muhīt-e-rahmat hai josh-afzā huī hai abr-e-saḳhā kī aamad
ḳhudā kī har chiiz kah rahī hai ki ab hai nūr-e-ḳhudā kī aamad
falak ko hai aarzū ki jhuk kar maiñ apne taare karūñ nichhāvar
huī hai makka kī sar-zamīñ pe ye aaj kis mah-laqā kī aamad
har ik muhib par ye fazl-e-rab hai asar ko nāloñ kī ḳhud talab hai
magar us altāf kā sabab hai habīb-e-rabb-ul-alāl kī aamad
'hijāb' paiham ye kah rahā hai gunāhgāroñ ne josh-e-rahmat
mubārak ai āsiyo mubārak shafī-e-roz-e-jazā kī aamad