Prem Shankar Goila Farhat

gareban-e-qaba-e-zist mein ek tar baqi hai

Prem Shankar Goila Farhat

garebān-e-qabā-e-zīst meñ ik taar baaqī hai
ajal dam le abhī to manzil-e-dushvār baaqī hai
zarā ai dil mohabbat kā tarāna tez-tar kar de
abhī kuchh imtiyāz-e-kāfir-o-dīñ-dār baaqī hai
sitamgārī ko tanhā kyuuñ shi.ār-e-āsmāñ samjhūñ
abhī sharh-e-mizāj-e-charḳh-e-kaj-raftār baaqī hai
balā-nosh is ḳharābāt-e-jahāñ se kis qadar guzre
lab-e-sāġhar pe zikr-e-rind-e-ḳhush-atvār baaqī hai
rahe garm-e-tavāf-e-dair-o-ka.aba muddatoñ lekin
tamannā-e-tavāf-e-āstān-e-yār baaqī hai
Top Urdushayar.com