Prem Shankar Goila Farhat

ye sahn-o-rawish ye shams-o-qamar ye dasht-o-bayaban kuchh bhi nahin

Prem Shankar Goila Farhat

ye sahn-o-ravish ye shams-o-qamar ye dasht-o-bayābāñ kuchh bhī nahīñ
juz apnī had-e-parvāz nazar ai dīda-e-hairāñ kuchh bhī nahīñ
hai mujh se vujūd-e-hast-o-adam yuuñ hast-o-adam haiñ lā ya.anī
ye ziist kā sāmāñ kuchh bhī nahīñ ye umr-e-gurezāñ kuchh bhī nahīñ
ai dast-e-junūñ hai aar tujhe kyuuñ merī qabā-e-hastī se
maiñ chāk-e-jigar kā qaa.il huuñ ye chāk-e-garebāñ kuchh bhī nahīñ
shāmil hai sarisht-e-insāñ meñ tūl-e-shab-e-ġham kā unsur bhī
ye shām-e-firāq-e-ġham-āgīñ sub.h-e-shab-e-hijrāñ kuchh bhī nahīñ
kiina hai tujhe kis daulat se is dāman-e-hastī meñ kyā hai
juz va.ada-e-rabb-e-kaun-o-makāñ ai gardish-e-daurāñ kuchh bhī nahīñ
ik raah pe mujh ko chhoḌ diyā manzil kā pata kuchh bhī na diyā
is baab kī maiñ tamhīd banā jis baab kā unvāñ kuchh bhī nahīñ
qassam-e-azal ne to baḳhshī aadam ko matā-e-izz-o-sharf
ai gardish-e-daurāñ ye to batā kyā azmat-e-insāñ kuchh bhī nahīñ
fitrat hai mirī kuchh is darja mānūs-e-haqīqat ai gulchīñ
taqrīb-e-bahārāñ kuchh bhī nahīñ taḳhrīb-e-gulistāñ kuchh bhī nahīñ
sah.bā-e-girāñmāyā hai atā maddāh-e-mai-ḳhuddārī huuñ
ai jām-o-subū ke shaidā.ī ye ḳhvāhish-e-arzāñ kuchh bhī nahīñ
kyā sharh-e-nigāh-e-dost karūñ dekhā hī nahīñ kuchh is ke sivā
hotā hai ināyat dard bahut aur dard kā darmāñ kuchh bhī nahīñ
vo kashtī-e-dil hī Duub chukī jo ziist kā hāsil thī 'farhat'
ab rāhat-e-sāhil kuchh bhī nahīñ ab shorish-e-tūfāñ kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com