Prem Shankar Goila Farhat

taDap kali ki hai ye ishrat-e-numu ke liye

Prem Shankar Goila Farhat

taḌap kalī kī hai ye ishrat-e-numū ke liye
ki iztirāb hai irfān rañg-o-bū ke liye
rumūz-e-arsh to khul jā.eñge kabhī na kabhī
hayāt vaqfa hai ḳhud apnī justujū ke liye
kuchh is qadar dil-e-pur-shauq be-ḳhabar bhī nahīñ
magar ba-zid hai vo anjām-e-ārzū ke liye
chaman meñ ġhunche hue mā.il-e-azāñ jis dam
luTā.ī sub.h ne shabnam vahīñ vuzū ke liye
shamīm-e-gulshan-e-rizvāñ ba-sad niyāz aa.ī
ḳhirāj le ke tirī zulf-e-mushkbū ke liye
jigar kā chaak hī marhūn-e-baḳhiya-gar kyuuñ ho
ye ḳhud hī rishta-e-sozan bhī hai rafū ke liye
nadīm kis ke qadam haiñ ye zeb-e-kāhkashāñ
chalā ye kaun kidhar kis kī justujū ke liye
Top Urdushayar.com