ek jalva ek naġhma ek paimāna abhī
zindagī kā ham-nashīñ mat chheḌ afsāna abhī
lazzat-e-sahbā se huuñ sāqī-e-begāna abhī
ho rahā hai band kyuuñ hastī kā mai-ḳhāna abhī
hairat-e-jalva mirī āñkhoñ kā parda ban ga.ī
huuñ sar-e-manzil magar manzil se begāna abhī
dekh to pī kar zarā sī aaj sahbā-e-ḳhudī
dekh bantā hai jahāñ ik ā.ina-ḳhāna abhī
khul gayā gar mai-kashoñ par dard-e-sahbā kā bharam
guuñj uTThegā navā-e-ġham se mai-ḳhāna abhī
sun rahe haiñ qissa-e-ādam azal se ham magar
hai vahī kaifiyyat-e-āġhāz-e-afsāna abhī
kāsa-e-dil ko mujalla aur kar luuñ to chalūñ
darḳhur-e-husn-e-azal kab hai ye nazrāna abhī
gesū-e-kaunanin to minnat-kash-e-shāna nahīñ
haañ magar uljhā huā hai zehn-e-farzāna abhī
jis qadar piitā gayā maiñ tishnagī baḌhtī ga.ī
bas yahī thī aarzū aur ek paimāna abhī
sidq-e-dil se sāqī-e-fitrat ko ik āvāz de
dekh aatā hai tire hāthoñ meñ paimāna abhī
fursat-e-nazzāra kab hāsil huī 'farhat' mujhe
huuñ asīr-e-kār-gāh-e-husn-e-jānāna abhī