tum nahīñ samjhe kabhī in kī zabāñ
dāman-e-gul māñgtī haiñ titliyāñ
aaj bhī aurat ke hisse aag hai
kitnī bhī be-shak hoñ us pe degrēyāñ
pūchh baiThe the tumhīñ kal rok kar
varna kyuuñ ham kholte apnī zabāñ
kar le ḳhidmat ab to tū maañ baap kī
aur bas kuchh roz haiñ ye jism-o-jāñ
tum bhale kitnā bhī us ko kos lo
māmtā meñ maañ na khole hai zabāñ
ho sakegā dard sar kā kam tabhī
god meñ rakh kar jo maañ de thapkiyāñ
is 'ratan' ne jī liye kitne bharam
aap is kā zikr hī chhoḌo miyāñ