Kirti Ratan Singh

kahin to rose hi mele kahin parcham ukhaDta hai

Kirti Ratan Singh

kahīñ to roz hī mele kahīñ parcham ukhaḌtā hai
kahīñ ḳhushiyāñ hī ḳhushiyāñ haiñ kahīñ bas dam ukhaḌtā hai
nahīñ mumkin hai koī peḌ yuuñ jaḌ chhoḌ de apnī
agar ho jā.egī miTTī zarā bhī nam ukhaḌtā hai
karo koshish bhale hī laakh TuuTe dil bachāne kī
magar mausam vahī aa jaa.e to har ġham ukhaḌtā hai
agar chalnā hai kāñToñ par to choToñ ko ravāñ kar lo
diyā ho laakh zaḳhmoñ par bhale marham ukhaḌtā hai
maiñ chhūtī āsmāñ ko huuñ baḌhā detī huuñ peñgoñ ko
mirī jab yaad meñ bachpan kā vo mausam ukhaḌtā hai
kahāñ jā.ūñ maiñ kyā kar luuñ samajh meñ kuchh nahīñ aatā
zarā sī baat par jab bhī 'ratan' hamdam ukhaḌtā hai
Top Urdushayar.com