Meer Mohammadi Bedar

ab tak mere ahwal se wan be-KHabari hai

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
ab tak mire ahvāl se vaañ be-ḳhabarī hai
ai nāla-e-jāñ-soz ye kyā be-asarī hai


ho jaave hai us kī saf-e-mizhgāñ se muqābil
is dil ko mire dekhiyo kyā be-jigarī hai
kis baaġh se aatī hai batā mujh ko ki phir aaj
kuchh aur hī bū tujh meñ nasīm-e-saharī hai
terā hī talabgār hai dil donoñ jahāñ meñ
ne huur kā juuyā hai ne mushtāq-e-parī hai
hai aur hī kuchh āb-o-havā shahr-e-adam kī
har shaḳhs jo 'bedār' udhar ko safarī hai
Top Urdushayar.com