jo tū ho paas to dekhūñ bahār āñkhoñ se
vagarna karte haiñ gul kār-e-ḳhār āñkhoñ se
kahāñ hai tū ki meñ khīñchūñ huuñ raah meñ terī
bisān-e-naqsh-e-qadam intizār āñkhoñ se
zi-bas ki ātish-e-ġham shola-zan hai siine meñ
girīñ haiñ ashk kī jāgah sharār āñkhoñ se
maiñ yaad kar dur-e-dandān-e-yār rotā huuñ
Tapakte haiñ guhar-e-āb-dār āñkhoñ se
Tuk aa ke dekh tū ai sarv-qad mirā ahvāl
ravāñ hai ġham meñ tire jūebār āñkhoñ se
chaḌhā.ūñ dasta-e-nargis mazār-e-majnūñ par
jo dekhūñ aaj maiñ rū-e-nigār āñkhoñ se
chaman meñ kal koī tujh sā parī nazar na paḌā
agarche dekhe haiñ jā kar hazār āñkhoñ se
huā hai dīda-e-'bedār' gul-fishāñ jab se
girā hai tab se ye abr-e-bahār āñkhoñ se