Meer Mohammadi Bedar

lab-e-rangin hain tere rashk-e-aqiq-e-yamani

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
lab-e-rañgīñ haiñ tire rashk-e-aqīq-e-yamanī
zeb detī hai tujhe nām-e-ḳhudā kam-suḳhanī
haar kal pahne the phūloñ ke nishāñ hai ab tak
ḳhatm hai gul-badanoñ meñ tirī nāzuk-badanī
sharm se aab hue nīshkar-o-qand-o-nabāt
dekh kar ai shakarīñ-lab tirī shīrīñ-dahnī
meva-e-bāġh-e-iram us ko na bhāve hargiz
taubar-e-bosa kiyā jis ne vo seb-e-zaqnī
jhūTe va.ade tire ai jaan karūñ sab bāvar
dil shikasta na kare gar tirī paimāñ-shikanī
shama-rūyoñ se jise shām-o-sahar sohbat ho
hai sazā-vār use da.ava-e-ḳhush-anjumanī
is qadar mahke hai us kākul-e-mushkīñ kī shamīm
justujū meñ hue 'bedār' ġhazāl-e-ḳhutanī
Top Urdushayar.com