zāhid is raah na aa mast haiñ mai-ḳhvār ka.ī
abhī yaañ chhīn liye jubba-o-dastār ka.ī
sañg-dil kuuñ na kisī kī huī afsos ḳhabar
mar ga.e sar kuuñ paTak kar pas-e-dīvār ka.ī
nā-tavāñ mujh sā bhalā kaun hai insāf to kar
chashm-e-fattāñ ke tire garche haiñ bīmār ka.ī
dil kī betābī se aur chashm kī be-ḳhvābī se
nazar aane lage ab ishq ke āsār ka.ī
juuñ hī vo hosh-rubā aa ke numūdār huā
naqsh-e-dīvār hue tālib-e-dīdār ka.ī
abrū-o-chashm-o-nigāh-o-mizha har ik ḳhūñ-ḳhvār
ek dil hai mirā tis par haiñ dil-āzār ka.ī
ai masīhā-e-zamāñ dekh Tuk aa kar ahvāl
ki tirī chashm ke yaañ marte haiñ bīmār ka.ī
khīñch mat zor se shāne ko tū ai mashshāta
dil haiñ us zulf ke bāloñ meñ giraftār ka.ī
kaf-e-pā haiñ tire sahrā kī nishānī 'bedār'
mar gayā to bhī phaphūloñ meñ rahe ḳhaar ka.ī