Meer Mohammadi Bedar

dekh us pari se kijiye kya ab to ja lagi

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
dekh us parī se kījiye kyā ab to jā lagī
chhoTī hī koī baat hai phir ye balā lagī
us lab pe dekhte hī se vo paan kī dhaḌī
shām-o-shafaq in āñkhoñ meñ kab ḳhushnumā lagī
ye dastaras kise ki kare us ko dast-bos
sau minnatoñ se paañv meñ us ke hinā lagī
maiñ kyā kiyā ki mujh ko nikāle hai vo sanam
ai ahl-e-bazm koī to bolo ḳhudā lagī
kis tarah hāl-e-dil kahūñ us gul se baaġh meñ
phirtī hai us ke saath to har-dam sabā lagī
is dard-e-dil kā pūchhiye kis se ilaaj jā
apnī sī kar chuke pa na koī davā lagī
aayā jo mehrbāñ ho sitamgar tū is taraf
kis vaqt kī na jāniye tujh ko duā lagī
itnā to vo nahīñ hai ki 'bedār' diije dil
kyā jaane pyārī us kī tujhe kyā adā lagī
Top Urdushayar.com