jab tak ki dil na laagā un be-muravvatoñ se
ayyām apne guzre kyā kyā farāġhatoñ se
bālīn par bhī zālim Tuk yak nazar na dekhā
āshiq ne jaan dī to par kyā hī hasratoñ se
mat pūchh ye ki tujh bin shab kis tarah se guzrī
kaaTī to raat lekin kin kin musībatoñ se
mazmūn soz-e-dil kā kahte hī uḌne laage
harf o nuqat sharar-sāñ yaksāñ kitābatoñ se
'bedār' sair-e-gulshan kyūñ-kar ḳhush aave mujh ko
juuñ laala daaġh hai dil yāroñ kī furqatoñ se