ne faqat tujh husn kī hai hind kī ḳhūbāñ meñ dhuum
hai tirī zulf-e-chalīpā kī farañgistāñ meñ dhuum
kyā kareñ pā-basta-e-kū-e-butāñ haiñ varna ham
karte juuñ farhād o majnūñ dasht-o-kohistāñ meñ dhuum
dekh tere muñh ko kuchh ā.īna hī hairāñ nahīñ
tujh ruḳh-e-raushan kī hai mahr-o-mah-e-tābāñ meñ dhuum
ai bahār-e-gulshan-e-nāz-o-nazākat har taraf
tere aane se huī hai aur bhī bustāñ meñ dhuum
sher kahnā garche chhoḌā tū ne ai 'bedār' aaj
kah ġhazal aisī ki ho bazm-e-suḳhan-sanjāñ meñ dhuum