Meer Mohammadi Bedar

yarab jo Khaar-e-gham hain jala de unhon ke tain

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
yārab jo ḳhār-e-ġham haiñ jalā de unhoñ ke ta.iiñ
jo ġhuncha-e-tarab haiñ khilā de unhoñ ke ta.iiñ
inkār-e-hashr jin ko hai ai sarv-e-ḳhush-ḳhirām
yak baar apne qad ko dikhā de unhoñ ke ta.iiñ
kahte haiñ abrū-o-mizha ḳhūñ-rez haiñ tirī
zālim kabhī hameñ bhī batā de unhoñ ke ta.iiñ
us sham.a-rū kā mujh se jo karte haiñ sard dil
ai āh-e-soz-nāk jalā de unhoñ ke ta.iiñ
sozāñ hai dāġh-e-hijr mire dil meñ misl-e-sham.a
ai yād-e-vasl-e-yār bujhā de unhoñ ke ta.iiñ
karte haiñ sar-kashī jo kaf-e-pā se aable
ai ḳhār-e-dasht-e-ishq biThā de unhoñ ke ta.iiñ
jo sāf-o-be-ġhubār haiñ 'bedār' āshnā
juuñ surma apnī chashm meñ jā de unhoñ ke ta.iiñ
Top Urdushayar.com