Meer Mohammadi Bedar

mai-kade mein jo tere husn ka mazkur hua

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796

mai-kade meñ jo tire husn mazkūr huā

sañg-e-ġhairat se mirā shīsha-e-dil chuur huā

ek to aage thā husn par apne nāzāñ

ā.īna dekh ke vo aur bhī maġhrūr huā

sub.h hote huā mujh se judā vo mah-rū

roz goyā mire haq meñ shab-e-dījūr huā

teġh mat khīñch ki ek jumbish-e-abrū bas hai

gar mirā qatl zālim tujhe manzūr huā

az-pa.e-dāġh-e-dil-e-bāda-parastāñ 'bedār'

pumba-e-shīsha-e-mai marham-e-kāfūr huā

Top Urdushayar.com