Meer Mohammadi Bedar

ek din wasl se apne mujhe tum shad karo

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
ek din vasl se apne mujhe tum shaad karo
phir mirī jaan jo kuchh chāho so be-dād karo
gar kisī ġhair ko farmāoge tab jānoge
ve hamīñ haiñ ki bajā lāveñ jo irshād karo
ab to vīrāñ kiye jaate ho tarab-ḳhāna-e-dil
aah kyā jaane kab aa phir ise ābād karo
yaad meñ us qad o ruḳhsār ke ai ġham-zadagāñ
jā ke Tuk baaġh meñ sair-e-gul-o-shamshād karo
le ke dil chāho ki phir deve vo dilbar ma.alūm
kaise hī naala karo kaisī hī fariyād karo
surma-e-dīda-e-ushshāq hai ye ai ḳhūbāñ
apne kūche se mirī ḳhaak na barbād karo
dekh kar tā.ir-e-dil aap ko bhūlā parvāz
ḳhvāh pāband karo ḳhvāh use āzād karo
aap kī chaah se chāheñ haiñ mujhe sab varna
kaun phir yaad kare tum na agar yaad karo
sham-e-afroḳhta jab bazm meñ dekho yaaro
hāl-e-'bedār'-e-jigar-soḳhta vaañ yaad karo
Top Urdushayar.com