Meer Mohammadi Bedar

kyun na le gulshan se baj us arghawan-sima ka rang

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
kyuuñ na le gulshan se baaj us arġhavāñ-sīmā kā rañg
gul se hai ḳhush-rañg-tar us ke hinā.ī pā kā rañg
jūñ-hī muñh par se uThā dī baaġh meñ aa kar naqāb
uḌ gayā rañg-e-chaman dekh us ruḳh-e-zebā kā rañg
sar pe dastār-e-basantī bar meñ jaama qurmuzī
khub gayā dil meñ hamāre us gul-e-ra.anā kā rañg
aaj saaqī dekh tū kyā hai ajab rañgīn huā
surḳh mai kaalī ghaTā aur sabz hai miinā kā rañg
de tū is abr-e-siyah meñ jaam jaldī se mujhe
dil bharā aatā hai merā dekh kar sahbā kā rañg
jis taraf dekhūñ huuñ ab 'bedār' tere ashk se
ho rahā hai surḳh yaksar dāman-e-sahrā kā rañg
Top Urdushayar.com