jis din tum aa ke ham se ham-āġhosh ho ga.e
shikve jo dil meñ the so farāmosh ho ga.e
saaqī nahīñ hai sāġhar-e-mai kī hameñ talab
āñkheñ hī terī dekh ke behosh ho ga.e
sunñe ko husn-e-yār kī ḳhūbī ba-rañg-e-gul
a.azā mire badan ke sabhī gosh ho ga.e
karte the apne husn kī tārīf gul-ruḳhāñ
us lāla-rū ko dekh ke ḳhāmosh ho ga.e
ai jaan dekhte hī mujhe duur se tum aaj
ye kaun sī adā thī ki rū-posh ho ga.e
rahte the be-hijāb mire paas jin dinoñ
ve roz haa.e tum ko farāmosh ho ga.e
duniyā o diin kī na rahī ham ko kuchh ḳhabar
hote hī us ke sāmne behosh ho ga.e
'bedār' bas-ki ro.e ham us gul kī yaad meñ
sar-tā-qadam sarishk se gul-posh ho ga.e