Meer Mohammadi Bedar

gar ek raat guzar yan wo rashk-e-mah kare

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
gar ek raat guzar yaañ vo rashk-e-māh kare
ajab nahīñ ki gadā par karam jo shaah kare
dikhāve aa.ina kis muñh se us ko muñh apnā
ki āftāb ko juuñ sham-e-sub.h-gāh kare
muqābil aate hī yuuñ khīñch le hai dil vo shoḳh
ki jaise kāh-rubā jazb barg kaah kare
havās-o-hosh ko chhoḌ aap dil gayā us paas
jab ahl-e-fauj hī mil jaa.eñ kyā sipāh kare
sitam-shi.ār vafā-dushman āshnā-bezār
kaho to aise se kyūñkar koī nibāh kare
ka.ī taḌapte haiñ āshiq ka.ī sisakte haiñ
is aarzū meñ ki vo sañg-dil nigāh kare
mohabbat aise kī 'bedār' saḳht mushkil hai
jo apnī jaan se guzre vo us kī chaah kare
Top Urdushayar.com