detā nahīñ dil le ke vo maġhrūr kisī kā
sach hai ki na zālim se chale zor kisī kā
ārā.ish-e-husn ā.īna-ruḳh karte ho har dam
lenā hai magar dam tumheñ manzūr kisī kā
be-vajah nahīñ tābish-e-arbāb-e-safā ko
hai jalva-gar is ā.īne meñ nuur kisī kā
aatā hai nazar yaañ jo har aivān-e-shikasta
yak vaqt meñ thā ḳhāna-e-ma.amūr kisī kā
vo shoḳh parī rashk-ba-kaf teġh-e-siyah-mast
aatā hai kiye shīsha-e-dil chuur kisī kā
rokūñ maiñ ab us ko sar-e-rāhe kabhī aa ke
itnā to maiñ rakhkhūñ nahīñ maqdūr kisī kā
'bedār' mujhe yaad usī kī hai shab-o-roz
ne baat kisī kī hai ne mazkūr kisī kā