ai sham-e-dil-afroz shab-e-tār-e-mohabbat
baḳhshe hai yahī garmī-e-bāzār-e-mohabbat
karte haiñ abas mujh dil-e-bīmār kā darmāñ
vābasta mirī jaañ se hai āzār-e-mohabbat
ai lāla-ruḳhāñ un ke ta.iiñ daaġh na samjho
phūlā hai mire siine meñ gulzār-e-mohabbat
gar ham se chhupātā hai tū 'bedār' va-lekin
inkār hī terā hai ye iqrār-e-mohabbat
rahtā hai mirī jaan kahīñ ishq bhī pinhāñ
zāhir haiñ tirī shakl se āsār-e-mohabbat