Meer Mohammadi Bedar

tu ne jo kuchh ki kiya mere dil-e-zar ke sath

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
tū ne jo kuchh ki kiyā mere dil-e-zār ke saath
aag ne bhī na kiyā vo to ḳhas-o-ḳhār ke saath
aañkh uThā kar bhī na dekhā kabhī tū ne zālim
sar paTak mar ga.e lākhoñ tirī dīvār ke saath
ye ka.ī taar haiñ vo rishta-e-jāñ hai yaksar
ġhalat us zulf kī tashbīh hai zunnār ke saath
raat din rahtī hai juuñ dīda-e-tasvīr khulī
aañkh jab se lagī us ā.ina-ruḳhsār ke saath
dekhiyo gir na paḌe diijo use ai qāsid
dil-e-betāb lipaTtā hai maiñ tūmār ke saath
kyā ajab ye hai ki vo mujh se milā rahtā hai
gul ko paivastagī lāzim hai ki ho ḳhaar ke saath
hai sazā-vār agar aise ko diije dil-o-dīñ
ham bhī dekhā use kal duur se 'bedār' ke saath
Top Urdushayar.com