Meer Mohammadi Bedar

mat puchh tu jaane de ahwal ko furqat ke

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
mat pūchh tū jaane de ahvāl ko furqat ke
jis taur kaTe kaaTe ayyām musībat ke
jī meñ hai dikhā diije yak roz tire qad ko
jo shaḳhs ki munkir haiñ ai yaar qayāmat ke
kahtā huuñ ġhalat tujh se maiñ dil ko chhuḌā.ūñgā
chhuTte haiñ kahīñ pyāre bāñdhe hue ulfat ke
qasr-o-mahal-e-mun.im tujh ko hī mubārak hoñ
baiThe haiñ ham āsūda goshe meñ qanā.at ke
bedār chhupā.e se chhupte haiñ koī tere
chehre se numāyāñ haiñ āsār mohabbat ke
Top Urdushayar.com