Meer Mohammadi Bedar

jo wo bahaar-e-azar-e-KHubi chaman mein aata KHiram karta

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
jo vo bahār-e-azār-e-ḳhūbī chaman meñ aatā ḳhirām kartā
sanobar-o-sarv har ek aa kar zarūr us ko salām kartā
figār teġh-e-sitam ke ab tak kareñ haiñ naala ba-rañg-e-bulbul
qayāmat ai gul ajab hī hotī tū gar kisī se kalām kartā
jo paatā lazzat basān-e-sāqī mai-e-mohabbat se terī zāhid
nikal haram se vo but-kade meñ maqām apnā mudām kartā
jo uuprī rū tujhe dikhātā jamāl apnā to vohīñ nāseh!
hamāre mānind chhoḌ ghar ko galī meñ us kī qayām kartā
ḳhayāl us ke se itnī fursat kahāñ ki fikr-e-suḳhan karūñ maiñ
vagarna 'bedār' is ġhazal ko qasīda meñ lā kalām kartā
Top Urdushayar.com