Meer Mohammadi Bedar

faqat qaziya yahi hai fann-e-tabi aur ilahi mein

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
faqat qaziya yahī hai fann-e-tab.ī aur ilāhī meñ
jo ilm-e-ma.arifat chāhe to rah yād-e-ilāhī meñ
samajhtā hai usī kā jalva-gah ġhaib-e-shahādat ko
nahīñ kuchh farq aarif ko safedī o siyāhī meñ
nahīñ ārām mujh ko iztirāb-e-dil se siine meñ
ki dariyā muztarib hotā hai betābī-e-māhī meñ
na kar mastoñ se kāvish har ghaḌī āmān kahtā huuñ
ḳhalal aa jā.egā zāhid tirī ismat-panāhī meñ
jagā kar ḳhvāb-e-āsā.ish se 'bedār' aah hastī meñ
adam-āsūdgāñ ko lā ke Daalā hai tabāhī meñ
jo kaifiyyat hai mastī se tirī āñkhoñ kī laalī meñ
nahīñ vo nashsha-e-rañgīñ sharāb-e-portugalī meñ
sar-o-barg-e-ḳhushī ai gul-badan tujh bin kahāñ mujh ko
gulistān-e-dil aayā fauj-e-ġham kī pā.emālī meñ
dur-e-dandāñ hue the maujzan kis bahr-e-ḳhūbī ke
ki motī sharm se paanī hue silk-e-la.ālī meñ
jahāñ vo shakkarīñ-lab guftugū meñ aave ai tuutī
suḳhan sarsabz terā kab ho vaañ shīrīñ-maqālī meñ
abas hai ārzū-e-ḳhush-dilī 'bedār' gardūñ se
mai-e-rāhat jo chāhe so kahāñ is jām-e-ḳhālī meñ
Top Urdushayar.com