vajd-e-ahl-e-kamāl hai kuchh aur
shaiḳh-sāhib kā haal hai kuchh aur
hosh jaatā hai ahl-e-hosh kā sun
tere mastoñ kā haal hai kuchh aur
faḳhr-e-insāñ nahīñ malak honā
jī meñ apne ḳhayāl hai kuchh aur
jis ko kahte haiñ vasl vasl nahīñ
ma.anī-e-ittisāl hai kuchh aur
ġhair-e-harf-e-niyāz so bhī kabhū
kah sakūñ huuñ majāl hai kuchh aur
ruḳh-e-ḳhurshīd par kahāñ vo nuur
mere mah kā jamāl hai kuchh aur
sarv! da.avā-e-ham-sarī mat kar
vo qad-e-naunihāl hai kuchh aur
kabk tū ḳhush-ḳhirām hai lekin
yaar kī mere chaal hai kuchh aur
dekh chal tū bhī hālat-e-'bedār'
aaj us kā to haal hai kuchh aur