kaun yaañ bāzār-e-ḳhūbī meñ tirā ham-sañg hai
husn ke mīzāñ meñ tere mahr-o-mah pasañg hai
maiñ vo huuñ dīvāna-e-sarḳhīl-e-arbāb-e-junūñ
haath meñ patthar liye har tifl mere sañg hai
jā-e-takiya āshiq-e-be-ḳhānumāñ ko vaqt-e-ḳhvāb
zer-e-sar kūche meñ tere ḳhisht hai pasañg hai
is javāhar-posh ke dekhe haiñ vo yāqūt-e-lab
jis kī rañgīnī ke aage la.al bhī ik sañg hai
surma.ī āñkhoñ kā tere jo koī bīmār ho
ek miil us ke ta.iiñ rakhnā qadam farsañg hai
jal gayā tanhā na koh-e-tūr hī parvāna-vār
aag tere ishq kī sham-e-dil-e-har-sañg hai
saḳht-jānī merī aur zālim tire sañgīñ-dilī
aah misl-e-āsiyā ye sañg uupar sañg hai
baap kā hai faḳhr vo beTā ki rakhtā ho kamāl
dekh ā.īne ko farzand-e-rashīd-e-sañg hai
sar mirā tere qadam ke saath yuuñ hai pesh-rau
Thokaroñ meñ jis tarah se rah-guzar kā sañg hai
e'tiqād-e-momin-o-kāfir hai rahbar varna phir
kuchh nahīñ dair-o-haram meñ ḳhaak hai pasañg hai
ye sadā ghar ghar kare hai āsiyā phir phir mudām
musht-e-gandum ke liye chhānī ke upar sañg hai
shaiḳh kī masjid se ai 'bedār' kyā hai tujh ko kaam
sajda-gah apnā sanam ke āstāñ kā sañg hai