anjuman-sāz-e-aish tū hai yahāñ
aur phir kis kī aarzū hai yahāñ
man-o-tū kī nahīñ hai gunjā.ish
harf-e-vahdat kī guftugū hai yahāñ
kaam kyā sham.a kā hai le jaao
dilbar-e-āftāb-rū hai yahāñ
dil meñ apne nahīñ kuchh aur talāsh
ek terī hī justujū hai yahāñ
dast-bosī ko terī ai saaqī
muntazir sāġhar aur subū hai yahāñ
aa shitābī ki hai makān-e-latīf
sair-e-gulzār o āb-jū hai yahāñ
kyā tire ghar meñ raat thā 'bedār'
us gul-andām kī sī bū hai yahāñ