Meer Mohammadi Bedar

mehr-e-KHuban KHana-afroz-e-dil-afsurda hai

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
mehr-e-ḳhūbāñ ḳhāna-afroz-e-dil-afsurda hai
sho.ala āb-e-zindagānī-e-charāġh-e-murda hai
murġh-e-dil terī nigah kā ho chukā ab to shikār
jā kahāñ saktā hai yaañ se said-e-nāvak-ḳhurda hai
hai bahār-e-rañg-o-bū-e-tāza rū-e-ḳhasm-e-jāñ
sālim āfāt-e-havādis se gul-e-pazhmurda hai
jān-o-īmāñ dīn-o-dil jo thā bisāt apnā diyā
aur kyā chāhe hai tū mujh se jo ab āzurda hai
ai shah-e-iqlīm-e-ḳhūbī tā-sar-e-darvāza aa
nazr ko 'bedār' terī jāñ-ba-kaf-āvarda hai
Top Urdushayar.com