ḳhāk-e-āshiq hai jo hove hai nisār-e-dāman
ai mirī jaan tū mat jhaaḌ ġhubār-e-dāman
dosto mujh ko na do sair-e-chaman kī taklīf
ashk hī bas hai mirā bāġh-o-bahār-e-dāman
surḳh jaama pe nahīñ tere kanārī kī chamak
barq is abr meñ hotī hai nisār-e-dāman
dekhtā kyā hai garebāñ ki junūn se nāseh
yaañ to sābit na rahā ek bhī tār-e-dāman
āstīñ tak to kahāñ us ke rasā.ī 'bedār'
dastaras mujh ko nahīñ tā-ba-kanār-e-dāman