Meer Mohammadi Bedar

gar kahin usko jalwa-gar dekha

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
gar kahīñ us ko jalva-gar dekhā
na gayā ham se aañkh bhar dekhā
naala har chand ham ne gar dekhā
aah ab tak na kuchh asar dekhā
aaj kyā jī meñ aa gayā tere
mutabassim ho jo idhar dekhā
ā.īne ko to muñh dikhāte ho
kyā huā ham ne bhī agar dekhā
dil-rubā aur bhī haiñ par zālim
koī tujh sā na muft par dekhā
aur bhī sañg-dil huā vo shoḳh
terā ai aah bas asar dekhā
minnat o ājizī o zaarī o aah
tere aage hazār kar dekhā
to bhī tū ne na ai mah-e-be-mehr
nazar-e-rahm se idhar dekhā
sach hai 'bedār' vo hai āfat-e-jān
ham ne bhī qissa-muḳhtasar dekhā
Top Urdushayar.com