Meer Mohammadi Bedar

tere hairat-zadagan aur kahan jate hain

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
tere hairat-zadagāñ aur kahāñ jaate haiñ
kahiye gar aap se jaate haiñ to haañ jaate haiñ
ve nahīñ ham ki tire jaur se uTh jaate haiñ
jī hai jab lag nahīñ ai jān-e-jahāñ jaate haiñ
kaun vo qābil-e-kushtan hai batāo ham ko
aap jo us pe liye tīr-o-kamāñ jaate haiñ
jyuuñ nagīñ rū-siyahī naam se yaañ hāsil hai
nāmvar ve haiñ jo benām-o-nishāñ jaate haiñ
sañg-e-hastī se ki thā māne-e-rāh-e-maqsūd
jast kar misl-e-sharar garm ravāñ jaate haiñ
tujh ko fahmīd kahāñ shaiḳh ki samjhe ye ramz
vaañ nahīñ bār-e-malak yaar jahāñ jaate haiñ
mujh ko us tifl-e-parī-rū ne kiyā dīvāna
hosh se dekh jise piir o javāñ jaate haiñ
ġhair-e-jauhar nahīñ e'rāz se un ko kuchh kaam
rañg-o-bū par nahīñ sāhib-nazarāñ jaate haiñ
ḳhvāb 'bedār' musāfir ke nahīñ haq meñ ḳhuub
kuchh bhī hai tujh ko ḳhabar ham-safarāñ jaate haiñ
Top Urdushayar.com