auroñ kī baat yaañ bahut kam hai
zikr-e-ḳhair aap kā hī har dam hai
jaan tak to nahīñ hai tujh se dareġh
ai maiñ qurbān kyuuñ tū barham hai
gaah ronā hai kaah hañsnā hai
āshiqī kā bhī zor aalam hai
ḳhush na paayā kisī ko yaañ ham ne
dekhī duniyā sarā-e-mātam hai
aah jis din se aañkh tujh se lagī
dil pe har roz ik nayā ġham hai
magar aañsū kisū ke poñchhe haiñ
āstīñ aaj kyuuñ tirī nam hai
us ke aariz pe hai araq kī buuñd
yā ki 'bedār' gul pe shabnam hai